Aurton Ki Namaz عورتوں کی نماز

3 (0)

Onderwijs | 30.5MB

Omschrijving

Auraton (Females ya Khawateen) Ki Namaz Ka Tareeka / Tarika - Step by Step
Ye 2 Rakat Namaz e Fajar Aurato'n (Aurato, Females ya Khawateen) Ki Namaza Ka Tareeka / Tarika - Step by Step bataya ja raha ha. Ba'wuzu ho k saaf jagah pe Jaa e Namaz (Musalla) bichaein.
1. Sab se pehlay 2 Rakat Namaz e Fajar ki niyat karein. Or jis be namaz ka waqt ho us k mutabik Niyat karein.
2. Allah-o-Akbar (Takbeer e Tahreema) keh kar apnay dono haath Apnay kaandho'n (Shoulders) tak uthain. Phir dono haatho'n ko apnay seenay (Chest) par baandh lain. Haath is tareekay se bandhein k Baaya'n haath (Left Hand) neechay or Daaya'n haath (Right Hand) upar aey.
3. SANAA parhain - "SUBHANAKA ALLAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABARAKASMUKA WA TA’ALA JADDUKA WA LA ILAHA GHAIRUK"
4. TA'AWUZ parhain - "AOUDHU BILLAHI MINASHAITANIR RAJEEM"
5. TASMIYAH parhain - "BISM-ILLAH HIR RAHMAN IR RAHIM"
6. Surah Fateha parhain.
AL HAMDU LILLAHE RABBIL AALAMEEN
AR-RAHMAN IR RAHEEM, MALIKE YAWMIDEEN
IYYAAKA NAABUDO WA IYYAAKA NASTAEEN
EHDENAS SIRAATAL MUSTAQEEM
SIRAATAL LAZEENA ANAAMTA ALAYHIM
GHAIRIL MAGHDHOOBE ALAYHIM
WA LADH-DHWAALLEEN AMEEN
7. Phir Quran Paak ki koi si Surah ya Ayaat parhain
8. Phir Allah-o-Akbar keh k rukoo main jana hai. Apnay dono haath apnay ghutno per rakh k ye tasbeeh parhein (3, 5 ya 7 martaba)
"SUBNANA RABBIYAL AZEEM"
9. Us ka baad TASMEE yani ye alfaaz kahein.
"SAMI ALLAHU LIMAN HAMIDAH"
10. Phir seedhi khari ho kar, haath dheelay chor k khari ho jaein or ye Alfaaz adaa karein.
"RABBANA LAKAL HAMD"
11. Phir Allah-o-Akbar kehty huey Sajday main jaein.
12. Sajda main jate howa zameen per pehlay ghutnay rakhein, phir haath rakhein, phir dono hatho'n k darmayan is tarha chehra rakhein k pehlay naak or phir matha zameen per aey or hath is tarah rakhe keh ungliyaan Qibla rukh ho. Paon khare nahi rakhein, Sajda karty huey paon sedhi taraf nikaal dein.
13. Sajda main ye Tasbeeh parhein - "SUBHANA RABBIYAL A’ALA" (3, 5 ya 7 martaba)
14. Phir Allah-o-Akbar keh kar beth jaen or apnay dono pao seedhi side ki taraf nikal dein, dono hath apni raano'n per is tarha rakhein ka ungliyan apas mein juri hui hon.
15. Phir dusra Sajda kareen or yahe tasbi parhein - "SUBHANA RABBIYAL A’ALA" (3, 5 ya 7 martaba)
16. Phir Allah-o-Akbar kehti hui seedha khari ho jaen.
Phir dusri rakat k liye Step 4 se Step 15 tak repeat karein.
Jab dusra Sajda karnay k baad baith jaen or TASH'HUD parhein.
AT-TAHIYYATU LILLAHI WASSALWAATU WAT-TAYYIBATU AS-SALAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYYU WA RAHMATULLAHI WA BARAAKAATUUH ASSALAMU ALAINA WA ALA IBADILLAHIS SALIHEEN ASH-HADU AN LA ILAHA ILLALAHU WA ASH-HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUH
TASH'HUD partey huey jab Ash'hadu An La Ilaah per pohn'chay to Seedhay hath ki Shahadat ki ungli ko chor kar baki baaki haath ko MUKKA (Punch) ki tarah band kar lein Shahdadat ki ungli ko thori dair k liya uthaein. Jesy hi MUHAMMADAN ABDO HU WA RASUL'OH parhein ungli nechay kr ungliyaan seedhi kar dein.
17. Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI parhein.
ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAAMADIN KAAMA SALLAITA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUN MAJEED.
ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAAMADIN KAAMA BARAKTA ALA IBRHIMA WA AALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUN MAJEED.
18. Phir kohi dua pareen jo Quran or hadees main ho.
RABBI JALNI MUQI MASAALATA WA MIN DHUIRIYATI RABBANA WA TAQABUL DUA RABBANAGH FARLI WALIWALIDAIYA WA LIL MUMINNENA YAWMA YAQUMAL HISAAB
19. Is k baad seedhay kandhay (Shoulder) ki taraf mu kar parhein - ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH
20. Phir ultay kandhay (Shoulder) ki taraf mu kar parhein - ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH
Women prayers in the light of Hadees
This article shall be based on overwhelming ahadith which establish from Prophet (Peace be upon him), Sahaba, Tabiyeen and great Fuqaha that prayer of woman is different in many ways from prayer of man.

Show More Less

Informatie

Bijgewerkt:

Huidige versie: 1.0

Android vereist: Android 4.4 or later

Rate

Share by

Dit vind je misschien ook leuk